Deepak Jugunu Chand Sitare Ek se Hain
Yani Saare Ishq ke Maare Ek se Hain !
Hijr ki Shab me Dekh to aake Mere Chand
Mere Aansu aur ye Taare Ek se Hain !
Darya Hoon Mai Bher Bhav ko kya janu
Mere Lye to Dono Kinare Ek se Hain !
Meri Kashti kis ne Duboyi kya Maloom
Sari Lehrien saare Dhaare Ek se Hain !
Kuch apne aur kuch Be-Gaane aur Mai khud
Meri Jaan k Dushman saare Ek se Hain !
Ab Batlao Hum kis se Fariyad Karien
Kaatil, Haakim, Munsif saare Ek se Hain !
Wednesday, September 26, 2007
SMS
Posted by
pappu_pager
at
7:53 AM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment